panna panna bheeg gaya aasuon se meri
likh na paya main teri yadon ki sari...
kalam ki siyahi kam wo ashkon se zyada bhari..
panna panna bheeg gaya aasuon se meri....
yaad karta hoon wo lamhe jinhe likh sakoon
jalte chirag ko gawah rakh sab ko bayan karoon
nahi milta hai koi ek bhi jise main baant sakoon
wo panne bhi ud gaye jinhe main razamand karoon...
chod ke mera saath gar tu yun chali na jati
kuch der tak hi sahi rah meri tu dekh pati
in pannon ki jaroorat muze tab na hoti
teri saadgi main meri khush-naseebi rehti
panna panna bheeg gaya aasuon se meri
likh na paya main teri yadon ki sari...
kalam ki siyahi kam wo ashkon se zyada bhari..
panna panna bheeg gaya aasuon se meri....
Ab shayad raasta ek hi hai..
Teri yaad main ab meri yaad bane
Khata teri nahi na muze koi haq hai
aise jahannam ki zindagi se to maut behtar hai
panna panna bheeg gaya aasuon se meri
likh na paya main teri yadon ki sari...............
Viral post
6 years ago
No comments:
Post a Comment