Following are few ones I composed last night....I hope you will like it..
Any suggestions on thr improvement are Welcome.. (Its open source..) :D
koi bujhaye na bujhe....
ye shama kuch aisi hai.
Sard main ped par thehra akhri patta..
dil-jale parwane ki halat kuch waisi hai.
Ae-Shama...kyun hai to itni magroor....
ki tuzko uspe taras bhi nahi hai.
kya uski ye be-intehan Mohobbat....
bas tere daman main jal kar ghutne ke liye hai ???
nazakat ki nazakat, nazakat se hoti hai
is nazakat ko nazakat se nazakt banaye rakhiye..
kahin yahi nazakat, nazakat-e-nijaaz ki nazakat na ban jaye...
badi muddat se sambhala tha apne dil ko is Ashiyane main..
badi muddat se sambhala tha apne dil ko is Ashiyane main..
Ashiyana to kab ka bikhur chuka...
ab hum apne dil ko dhoondte hain..
kahin wo aapke pass to chala nahi aaya...
kya gunah kiya ki aaj yahan hoon main..
kyon kiya ki ye takleef seh rahan hoon main..
jinki wajah se hai.... unke liye to mehroom hoon main..
Shayad khuda ko bhi yun hi manjoor hoon main..
aur khamaka unki aagosh ke sapnon main mashgool hoon main..
Suhel..
Viral post
6 years ago