Few Shayaris I love...
Hazaaron khwaaishen aisi ke har khwahish pe dam nikle,
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle.
Nikalna khuld se aadam ka sunte aae the lekin,
Bahut be aabroo ho kar tere kuche se ham nikle.
Magar likhwae koi usko khat to ham se likhwae,
Hui subah aur kaan par dhar kar qalam nikle.
Mohabbat mein nahin hai farq jeene aur marne ka,
usi ko dekh kar jeete hain, jis kaafir pe dam nikle.
Kahaan maikhana ka darwaaza Ghalib, aur kahaan waiz,
Par itna jante hain kal woh jaata tha ke ham nikle.
-------------------------------------------------------------
Dil-e-naadan tujhe hua kya hai?
Aakhir is dard ki dawa kya hai?
Ham hain mushtaaq aur woh be-zaar,
Ya Ilahi yeh maajra kya hai?
Jab ke tujh bin koi nahin maujud,
Phir yeh hangaama ai Khuda kya hai?
yeh pari chehra log kaise hain,
Ghamza-e-ushwa-o-adaa kya hai?
Shikan-e-zulf-e-ambrin kyon hai?
Nigaah-e-chashm-e-surma sa kya hai?
Hum ko un se wafa ki hai umeed,
Jo nahin jaante wafa kya hai..
-------------------------------------------------------
Koi umeed bar nahin aati,
Koi surat nazr nahin aati.
Maut ka ek din maayen hai,
Neend kyon raat bhar nahin aati?
Aage aati thi haal-e-dil pe hansi,
Ab kisi baat par nahin aati.
Jaanta hun sawaab-e-taait-o-zuhd,
Par tabiat idhar nahin aati.
Hai kuch aisi hi baat jo chup hun,
Warna kya baat kar nahin aati.
Daagh-e-dil gar nazr nahin aata,
Bu bhi ai chaaragar nahin aati?
Hum wahaan hai jahaan se hum ko bhi,
Kucch hamaari khabar nahin aati.
----------------------------------------------------
Viral post
6 years ago
No comments:
Post a Comment